Powered By Blogger

Tuesday, January 4, 2011

EVERY DAY IS ASHURA & EVERY LAND IS KARBALA

EVERY DAY IS ASHURA & EVERY LAND IS KARBALA





Here is an urdu poem in glorification of Mazloom-e-Karbala



Aey Falak Bakht Musaafir Hamein Too Yaad Aea
Aaj ki subh mah-o-sal kay aieney mein
Phir terey khoon ki poshaq pehan kar aaee
Phir dil-o-jaan mein terey qurb ka mosam utra
Phir terey dard ki soghaat muyassar aaee





Aankh mein phir se dehakney lagey khuabon kay gulaab
Phir saba khaak ba sar noha ba lab guzri hay


Phir isi soch mein ghaltaan hay qabila apna
Umr guzri kay terey hijar ki shab guzri hay


Too ne seeney pay sajaai hein kharashein jis ki
vo qiamat bhi kisi aur pay kab guzri hay


Dil ne jab jab bhi teri simt palat kar dekhaa
saj gai raah mein bay reham saleebon ki qitaar


Khaak-e-maqtal pay damakney lagey ashkoon kay nujoom
Chashm-e-qaatil se barasney lagey nafrat kay sharaar
Phir se har taar-e-girebaan pay lagi jabr ki muhar
Khich gaey taa ba falak zulm-u-tashaddad kay hisaar
juz terey kis se kahein ham kay kahaan khatm hooaa
Taziaanon ki zubaan choomtey zakhmon ka shumaar








Aankh mein tair gaey phir teri khushbu kay bhanwar
Phir se qismat ko jagaaney lagey subhoon kae safer
Teri jurrat kabhi talwaar ki surat chamki
Teer ban kar kabhi ubhri teray jazbon ki lakeer


Baarish-e-sang mein jab qeht-e-namoo yaad aaeaa
Tera sach bolta bay bak lahoo yaad aaeaa
Jab koi cheekh tah-e-jabr-u-sitam dafn hooi
Ahl-e-zindaan ko tera nara-e-hoo yaad aaeaa


Jab dar-e-harf-e- sadaaqat pay koi qufl parra
Tera aizaaz-e-rasan tauq-guloo yaad aaeaa
Jab bhi maqtal mein koi chaand hooa zeenat-daar
Aey falak bakht musaafir hamein too yaad aaeaa






No comments:

Post a Comment